shab dhali meri aur sahar na hui
had hui aap ko khabar na hui
aap kahte the pur-khatar jitni
sakht utni bhi rahguzar na hui
rah gaya dard dil ke pahlu men
ye jo ulfat thi dard-e-sar na hui
vaqt-e-akhir khula hai ye uqda
bholi surat bhi be-zarar na hui
kya se kya kah rahe hain aap ‘siraj’
aap ki baat barvar na hui
Leave a Reply