sehn-e-chaman men jaana mera aur faza men bikhar jaana
shaḳh-e-gul ke saath lachakna saba ke saath guzar jaana
sehr-bhari do ankhen mera pichha karti rahti hain
nagin ka vo muḌ kar dekhna phir vaadi men utar jaana
zaḳhm hi tera muqaddar hain dil tujh ko kaun sambhalega
ai mere bachpan ke sathi mere saath hi mar jaana
suraj ki in aḳhiri maddham kirnon ko gin sakte hain
din ka vo moti sa chamakna phir paani men utar jaana
yahin kahin sahra men Thahar ja dam lene ki baat nahin
ḳhaak siva rakkha hi kya hai yahan se aur kidhar jaana
us se ab dasht-e-imkan ke safar-hazar ka puchhna kya
jis ne rahguzar ke ghane peḌon ko bhi dard-e-sar jaana
ek nihan-ḳhane ke taaq par a.ina rakkha tha ‘zeb’
ek jhalak si apni dekhna aur vo mera Dar jaana
Leave a Reply