sazish-e-intishar men masruf
hai ḳhizan bhi bahar men masruf
ham ne rakha ka.i tarah ḳhud ko
fursat-e-intizar men masruf
misl-e-sayyargan bani-adam
apne apne madar men masruf
ishq rota hai aaTh aaTh aansu
husn sola-singhar men masruf
aah vo vaqt jab lahu mera
tha dil-e-be-qarar men masruf
zindagi kaT rahi hai ‘basir’ ki
be-samar karobar men masruf
Leave a Reply