
Jafar Raza
saz-e-hasti pe agar gaao to kuchh baat bane
sher ban jaa.en jo ye ghaav to kuchh baat bane
ye futuhat-e-ḳhala kya hain ba-juz tar-e-harir
zaat ke pardon ko sarkao to kuchh baat bane
ahl-e-binash ho bane ivory-tower men to kya
kabhi divanon se Takrao to kuchh baat bane
zulmat-e-shab men ye tanha.i gala ghonT na de
shisha-e-karb hi chamkao to kuchh baat bane
ilm-o-danish ki mahakti hui purva.iyo kaash
mere siine men utar aao to kuchh baat bane
zulm ka saath na do maslahat-andeshi men
aao haq-goyon men aa jaao to kuchh baat bane
jism men ruuh kira.e ke makan men jaise
ruuh ko apna bana paao to kuchh baat bane
in razilon ki zaban-dani ayazan-billah
sayyad-‘insha’ ko bula laao to kuchh baat bane

Leave a Reply