Sard Na Kar Mazaq-E-Ishq Be-KHudi-E-Namaz Mein

sard na kar mazāq-e-ishq be-ḳhudī-e-namāz meñ

aañkh ko dūrbīñ banā jalva-gah-e-majāz meñ

rāz-e-nizām-e-kā.enāt un kī nigāh-e-nāz meñ

asliyyat-e-ḳhudā nihāñ merī ḳhudī kī raaz meñ

phir tujhe DhūñDh legī ḳhud zarf-shanās barq-e-tūr

shauq-e-kalīm shart hai ishq ke soz-o-sāz meñ

yā to ḳhudī ko bhuul jā yā phir usī ko bhuul jā

hiss-e-muġhā.irat na rakh bārgah-e-niyāz meñ

ḳhirman-e-kā.enāt ko phūñk na de yahī sharār

soz hī soz hī faqat merī ḳhudī kī saaz meñ

quvvat-e-zabt vassalām tāqat-e-sabr alvidā.a

phir vahī irti.āsh hai un kī nigāh-e-nāz meñ

mujh ko na āzmā.iye hashr bapā na kījiye

shor-e-nushūr hai nihāñ nāla-e-jāñ-gudāz meñ

tuur ko ḳhaak kar gayā shams kā ḳhūñ-bahā gayā

laakh chhupā na chhup sakā husn harīm-e-nāz meñ

tālib ġham-nasīb kā husn-e-talab to dekhiye

ārzū-e-firāq hai daur-e-vafā-e-nāz meñ

Leave a Comment