sarab dekhta huun main ki aab dekhta huun main
samajh men jo na aa sake vo ḳhvab dekhta huun main
lahun men tairti hai koi shai tiri umiid si
uga hua shafaq men aftab dekhta huun main
miri nazar ke samne hai aa.ina rakkha hua
tiri nazar ka husn-e-intiḳhab dekhta huun main
ye kis maqam par hai aaj raḳhsh-e-fikr-o-agahi
ki jibra.il ko bhi ham-rikab dekhta huun main
ye koi nazr to nahin nigah dil navaz ki
khila hua jo dil men ik gulab dekhta huun main
kisi ka daman-e-talab kushada is qadar nahin
tiri ata ko be-had-o-hisab dekhta huun main
samajh sakega kaun ai ḳhuda tiri kitab ko
badal gaya hai sab ka sab nisab dekhta huun main
abhi to sun raha huun main gaḌhi hui kahaniyan
khulega kab haqiqaton ka baab dekhta huun main
dil-o-nazar ki raushni hai jis ke harf harf men
rakhi hui vo taaq par kitab dekhta huun main
jo khelne men tez tha navab ho gaya hai vo
paḌhe likhe ko ḳhasta-o-ḳharab dekhta huun main
vo hoshiyar aadmi ki jagta hai raat din
kabhi kabhi use bhi mast-e-ḳhvab dekhta huun main
jo ‘mahir’-e-alam-zada ke lab pe aa ga.i hansi
tu kha raha hai koi pech-o-tab dekhta huun main
Leave a Reply