Sar Par Thi kaDi Dhup Bas Itna Hi Nahin Tha

sar par thī kaḌī dhuup bas itnā hī nahīñ thā

us shahr ke peḌoñ meñ to saayā hī nahīñ thā

paanī meñ zarā der ko halchal to huī thī

phir yuuñ thā ki jaise koī Duubā hī nahīñ thā

likkhe the safar paañv meñ kis tarah Thaharte

aur ye bhī ki tum ne to pukārā hī nahīñ thā

apnī hī nigāhoñ pe bharosa na rahegā

tum itnā badal jāoge sochā hī nahīñ thā

kanda the mire zehn pe kyuuñ us ke ḳhad-o-ḳhāl

chehra jo mirī aañkh ne dekhā hī nahīñ thā

Leave a Comment