sar chhupane ke liye chhat nahin di ja sakti
har kisi ko ye sahulat nahin di ja sakti
saans lene ke liye sab ko mayassar hai hava
is se badh kar to riayat nahin di ja sakti
tum ko raas aae na aae miri basti ki faza
yaan kisi jaan ki zamanat nahin di ja sakti
ek muddat ke shab o roz lahu hote hain
tasht men rakh ke qayadat nahin di ja sakti
ziist aur maut ka akhir ye fasana kya hai
umr kyuun hasb-e-zarurat nahin di ja sakti
in darichon se koi mauja-e-khush-kun aae
rahat-e-jan ye ijazat nahin di ja sakti
soz-e-dil tohfa-e-qudrat hai vagarna ‘uzma’
barf ko narm hararat nahin di ja sakti
Leave a Reply