saaqi bhi mai-e-gulfam bhi hai rindon ko sala-e-am bhi hai
gardish men chhalakta jaam bhi hai bahken to magar ilzam bhi hai
sab kuchh main luTa deta lekin kya kahiye ki un ki nazron men
hushyari ki talqin bhi hai sar-masti ka paigham bhi hai
tanvir-e-numud-e-sub.h bhi hai aariz ke damakte jalvon men
zulfon ke machalte saa.e men tasvir-e-savad-e-sham bhi hai
ai dil ye junun ki manzil hai kuchh sud-o-ziyan ki fikr na kar
har gaam pe yaan rahrav ke liye aghaz bhi hai anjam bhi hai
ab dair-o-haram ki shorish ko ai va.iz-e-nadan bhuul bhi ja
ye bazm ki bazm-e-rindan hai yaan kufr bhi hai islam bhi hai
shohrat bhi mili izzat bhi mili lekin ye ‘jamal’-e-naghma-sara
dil-gir bhi hai barbad bhi hai nashad bhi hai nakam bhi hai
Leave a Reply