• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sans Ki Aanch Zara Tez Karo

Sans Ki Aanch Zara Tez Karo

adil-mansuri

saans ki aanch zara tez karo

kanch ka jism pighal jaane do

laam khali hai use mat chhedo

nuun ke pet men nuqta dekho

raat ke parde ulatte jaao

chand ka jism barahna bhi ho

sar uthao na kanar-e-dariya

mauj ko sar se guzar jaane do

khud-ba-khud shakh lachak jaegi

phal se bharpur to ho lene do

aankh khulte hi ye avaz aai

chor ghus aaya hai ghar men pakdo

ungliyan chatte rah jaoge

tum kabhi apna lahu chakh dekho

maut sadkon pe phira karti hai

ghar se niklo to sambhal kar niklo

kaun ab sher kahe nazm likhe

shahr hi chhod gai jab zebo

tum ko daava hai sukhan-fahmi ka

jaao ‘ghalib’ ke taraf-dar bano

kal vo ‘adil’ se ye farmate the

shaeri chhod ke shadi kar lo

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek Talluq Sa Kisi Nam Se Jab Hota Hai

azra-abbas

Lafzon Ka Zawal

poet

Haalanki Main Asir-E-Azab-E-Safar Na Tha

poet

Taqdir-E-Shama Jalwa-E-Jaanana Ban Gaya

poet

Halqa Halqa Ghar Bana Lakht-E-dil-E-Betab Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet