sannaTon Ke Jangal Mein Khoi Hui KHushbu Thi

sannāToñ ke jañgal meñ khoī huī ḳhushbū thī

aahaT jo sunī koī sahmī huī ḳhushbū thī

us ghar meñ gulāboñ se kuchh raag mahakte the

māhaul meñ jaadū thā gaatī huī ḳhushbū thī

guftār meñ phūloñ kī barsāt kā aalam thā

pahnā huā gulshan thā oḌhī huī ḳhushbū thī

Daalī se koī mausam jiyūñ TuuT ke gir jaa.e

be-rabt havāoñ meñ uḌtī huī ḳhushbū thī

tum ne kabhī sochā hai tum ne kabhī jaanā hai

kahte haiñ ‘tapish’ jis ko bikhrī huī ḳhushbū thī

Leave a Comment