munh-zabani qur.an paḌhte the
pahle bachche bhi kitne buḌhe the
ik parinda suna raha tha ghazal
chaar chhe peḌ mil ke sunte the
jin ko socha tha aur dekha bhi
aise do-char hi to chehre the
ab to chup-chap shaam aati hai
pahle chiḌiyon ke shor hote the
raat utra tha shaḳh par ik gul
char-su ḳhushbuon ke pahre the
aaj ki sub.h kitni halki hai
yaad paḌta hai raat ro.e the
ye kahan doston men aa baiThe
ham to marne ko ghar se nikle the
ye bhi din hain ki aag girti hai
vo bhi din the ki phuul barse the
ab vo laḌki nazar nahin aati
ham jise roz dekh lete the
ankhen kholin to kuchh na tha ‘alvi’
band ankhon men lakhon jalve the
Leave a Reply