samundar tha kabhi sahra hua hai
vo kya tha aur dekho kya hua hai
nahin malum us ko hashr apna
parinda jaal par baiTha hua hai
gunah-e-ishq men kaisi riha.i
tumhare saath to dhoka hua hai
kisi ne haal puchha tab ye jaana
hamen to naam tak bhula hua hai
nishani aḳhiri ye hai kisi ki
jo aansu aankh men Thahra hua hai
munasib tha tumhara ruuTh jaana
magar ye kya ki sab ruTha hua hai
chamak mahfil men jis chehre ki hai vo
musalsal raat bhar roya hua hai
Leave a Reply