samajh raha tha main ye din guzarne vaala nahin
khula ki koi bhi lamha Thaharne vaala nahin
koi bhi rasta kisi samt ko nahin jaata
koi safar miri takmil karne vaala nahin
hava ki abr ki koshish to puuri puuri hai
magar dhuven ki tarah main bikharne vaala nahin
main apne-ap ko bas ek baar dekhunga
phir is ke ba.ad kisi se bhi Darne vaala nahin
charagh-e-jan liye kis dasht men khaḌa huun main
koi bhi qafila yaan se guzarne vaala nahin
main kya karun koi tasvir gar adhuri hai
main apne rang to ab us men bharne vaala nahin
Leave a Reply