sahra-e-zindagi ke liye nur-e-dida huun
kanTa sahi magar main gul-e-nau-damida huun
mujh par khula hai ahd-e-bahar-o-ḳhizan ka raaz
main ik hasin phuul ka rang-e-parida huun
tujh ko bhi zindagi ne diya dard-e-be-karan
main bhi gham-e-hayat ka lazzat-chashida huun
tujh se mira ta.alluq-e-ḳhatir hai da.imi
tu hai agar ghazal to main tera qasida huun
duniya miTi hui hai mire iḳhtisar par
doshiza-e-hayat ki zulf-e-burida huun
tum ko mire taghaful-e-be-ja ka hai gila
main kuchh dinon se ḳhud se bhi daman-kashida huun
main sochta huun mujh pe ye tohmat hai kis liye
ab vo bhi kah rahe hain ki main barguzida huun
kanTon se khelta huun gulistan-e-ishq men
‘parvez’ fart-e-shauq men daman-darida huun
Leave a Reply