sadiyon ke baad hosh men jo aa raha huun main
lagta hai pahle jurm ko dohra raha huun main
pur-haul vadiyon ka safar hai bahut kaThin
le ja raha hai shauq chala ja raha huun main
ḳhali hain donon haath aur daman bhi taar taar
kyuun ek musht-e-ḳhak pe itra raha huun main
shauq-e-visal-e-yar men ik umr kaaT di
ab baam o dar saje hain to ghabra raha huun main
shayad varaq hai paḌh liya koi hayat ka
ban kar faqih-e-shahr jo samjha raha huun main
sahil pe baiTha dekh ke maujon ka iztirab
uljhi hui si gutthiyan suljha raha huun main
Leave a Reply