azal se us ki saltanat ko koi manta nahin
jo dil men aa ke jhank le to jaise janta nahin
par ab to maan jhuut ki nafi na kar
nafi na kar ki jhuut hai
sach ki saari saltanat ka vasta
nafi na kar ki jhuut hai
nutq par khitab men
ab-o-khak-o-bad men
muamle mukalme takallufat-o-hadse
main dost yaar mehrban
khet khet rengta hai jhuut bahte aab men
sinchta hai nuur jhuut shahr ke makan men
bhagta hai tez tez jhuut tez kaar men
jhuut kaale harf ki buland baang surkhiyan
jhuut ahd-e-kuhna ki dabiz lan-taraniyan
jhuut is liye ki sach ka duur tak pata nahin
ye tera sirf vahm hai main sach se bad-guman nahin
har ik naqib sach ka lahke jhuut ke alaav men
guman ko khisht kar ke sach ki niiv dalta raha hai
jhuut ki nafi na kar
ki sach ki dudhiya lakir duur jhilmila sake
Leave a Reply