sach bolna chahen bhi to bola nahin jaata
jhuTon ke liye shahr bhi chhoḌa nahin jaata
tum kitna hi ohdon se navazo hamen lekin
nafrat ka shajar ham se to boya nahin jaata
socho to javani kabhi vapas nahin aati
dekho to kabhi aa ke buḌhapa nahin jaata
dil par to bahut zaḳhm zamane ke lage hain
ḳhud-dari se lekin kabhi roya nahin jaata
duniya bhi sukun se kabhi rahne nahin deti
nauha bhi kabhi apnon ka likkha nahin jaata
pahre mire honTon pe laga rakkhe hain us ne
chahun main gila karna to bola nahin jaata
tinke bhi nahin chhoḌe hain ‘nayyar’ kisi ghar ke
sailab vo aaya hai ki dekha nahin jaata
Leave a Reply