
Shariq Kaifi
sab asan hua jaata hai
mushkil vaqt to ab aaya hai
jis din se vo juda hua hai
main ne jism nahin pahna hai
koi daraḌ nahin hai shab men
phir ye ujala sa kaisa hai
barson ka bachhḌa hua saaya
ab aahaT le kar lauTa hai
apne aap se Darne vaala
kis pe bharosa kar sakta hai
ek mahaz pe haare hain ham
ye rishta kya kam rishta hai
qurb ka lamha to yaron ko
chup karne men guzar jaata hai
suraj se sharten rakhta huun
ghar men charagh nahin jalta hai
dukh ki baat to ye hai ‘shariq’
us ka vahm bhi sach nikla hai

Leave a Reply