ruḳh-e-zeba idhar nahin karta
chahta hai magar nahin karta
sochta hai magar samajhta nahin
dekhta hai nazar nahin karta
band hai us ka dar agar mujh par
kyuun mujhe dar-ba-dar nahin karta
harf-e-inkar aur itna tavil
baat ko muḳhtasar nahin karta
na kare shahr men vo hai to sahi
mehrbani agar nahin karta
husn us ka usi maqam pe hai
ye musafir safar nahin karta
ja ke samjha.en kya use ki ‘zafar’
tu bhi to darguzar nahin karta
Leave a Reply