ruuh ko aaj naaz hai apna vaqar dekh kar
us ne chaḌha.in tevriyan mera qarar dekh kar
qasd-e-gila na tha magar hashr men shauq-e-josh se
haath mira na ruk saka daman-e-yar dekh kar
dekh ke ek baar unhen dil se to haath dho chuke
dekhiye kya guzarti hai dusri baar dekh kar
aate hain vo to pahle hi ranj se saaf ho rahun
aa ke kahin palaT na jaa.en dil men ghubar dekh kar
vasl se guzre ai ḳhuda haan ye shugun chahiye
sub.h ko ham uTha karen ru-e-nigar dekh kar
ka.aba ko ja na ‘shauq’ abhi niyyat-e-zindagi ba-ḳhair
ham bhi chalenge tere saath ab ki bahar dekh kar
Leave a Reply