• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Reaya De Rahi Thi Shauq Se Begar Jismon Ki

Reaya De Rahi Thi Shauq Se Begar Jismon Ki

re.aya de rahi thi shauq se begar jismon ki

yahi taqdir hai aaqa yahan nadar jismon ki

gira Dalegi tujh pe asman jo sarsarahaT hai

tumhare paanv niche rengte bedar jismon ki

muarriḳh goliyon ke ḳhol ginte ja rahe the aur

hikayat likh rahe the ham yahan mismar jismon ki

mohabbat sirf kahne ko ta.alluq tel paani sa

riyazat umr bhar karte rahe be-kar jismon ki

ḳhuda tera nizam-e-adl rabb-ul-alamin tera

shari.at tujh ko deti hai ijazat chaar jismon ki

use to fikr daman-gir thi shah ke qaside ki

kahani ik taraf rakkhi rahi bimar jismon ki

badan chhoḌo sabahat ho sake to ruuh ko thamo

koi dam girne vaali hai yahan divar jismon ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Hamara Ho Gaya Viran Sahra Ki Tarah

Kinara-Dar-Kinara Mustaqil Manjdhaar Hai Yun Bhi

abroo-shah-mubarak

Khurshid-Ru Ke Aage Ho Nur Ka Sawali

poet

Tazad Achchha Nahin Tarz-E-Bayan Ka Hum Zabanon Mein

poet

Abr Ke Bin Dekhe Hargiz KHush Dil-E-Mastan Na Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet