Rang uD Kar Raunaq-E-Taswir Aadhi Rah Gai

rañg uḌ kar raunaq-e-tasvīr aadhī rah ga.ī

ġham ġhalat karne kī ye tadbīr aadhī rah ga.ī

dekhne vāloñ kī āñkhoñ se nihāñ ik ruḳh rahā

puurī khiñch kar bhī mirī tasvīr aadhī rah ga.ī

mujh se mī.ād-e-asīrī kyā karoge pūchh kar

dīda-var ho jāñch lo zanjīr aadhī rah ga.ī

hosh thā vahshat meñ to sahrā-navardī kā mujhe

be-ḳhudī meñ gardish-e-taqdīr aadhī rah ga.ī

kahte haiñ is meñ hai sāz-e-husn par hai soz-e-ishq

dekh kar gul-bāñg qadr-e-mīr aadhī rah ga.ī

nīm-bāz āñkhoñ ke qurbāñ yuuñ kanakhiyoñ se na dekh

ochhe vāroñ se zad-e-har-tīr aadhī rah ga.ī

vo sarāpā husn hai aur us kā ik ruḳh hai siyāh

chāñd se mahbūb kī tābīr aadhī rah ga.ī

jab javānī josh par aa.ī to vo ruḳhsat hue

zindagī ke qasr kī ta.amīr aadhī rah ga.ī

ġhaur se fitrat ne dekhā ba.ad-e-taḳhlīq-e-huzūr

do jahāñ ke husn kī taḳhmīr aadhī rah ga.ī

‘sehr’ un kī lantarānī sun ke gosh-e-hosh se

ārzū-e-āshiq-e-dilgīr aadhī rah ga.ī

Leave a Comment