Rang Hai Raushni Hai Murat Hai

rañg hai raushnī hai mūrat hai

tū mire ḳhvāb kī haqīqat hai

bhuul jā.ūñ to maiñ taḌaptī huuñ

yaad rakhne meñ hī suhūlat hai

phuul haiñ rañg haiñ bahāreñ haiñ

zindagī kitnī ḳhūbsūrat hai

mat banā koī bhī bahāna tū

jaane vaale tujhe ijāzat hai

silsila ḳhushbūoñ se rakhtī huuñ

mujh ko ik phuul se mohabbat hai

Leave a Comment