Rahe Na Ghar Ke Hue KHwar Ye to Hona Tha

rahe na ghar ke hue ḳhvār ye to honā thā

tirī talāsh meñ ai yaar ye to honā thā

qatār jalte charāġhoñ kī bar-sar-e-dīvār

siyāhiyāñ pas-e-dīvār ye to honā thā

zamīn bāñTne vāloñ ke ham muḳhālif the

hamīñ pe aa girī talvār ye to honā thā

guzar ke ik rah-e-pur-ḳhār se yahāñ pahuñche

yahāñ se phir rah-e-pur-ḳhār ye to honā thā

ufuq se pūchh rahe haiñ kahāñ gayā sūraj

hue the der se bedār ye to honā thā

hamīñ ne us ke liye rāste banā.e the

ki ghar tak aa gayā bāzār ye to honā thā

ta.alluqāt kī ta.amīr meñ ḳhulūs thā kam

buland-tar huī dīvār ye to honā thā

Leave a Comment