• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Rah-Raste Mein Tu Yun Rahta Hai Aa Kar Humse Mil

Rah-Raste Mein Tu Yun Rahta Hai Aa Kar Humse Mil

poet

rah-raste men tu yuun rahta hai aa kar ham se mil

kam gaya lekin vo yar-e-khangi ghar ham se mil

dil tadapta hai pada is sina-e-sad-chak men

khol kar band-e-qaba tu ai saman-bar ham se mil

be-niyaz us husn ko aur naaz ko barpa rakhe

be-takalluf ho ke tu ai naz-parvar ham se mil

pahunchna tum tak miyan apna to ik ashkal hai

hove ta milna tira ham ko mayassar ham se mil

har musibat bhar ke main pahuncha huun tere dar talak

be-muravvat ek dam aa ghar se bahar ham se mil

ab to us be-dast-o-pa se ho nahin sakti talash

dhund le kar ham ko ai rizq-e-muqaddar ham se mil

in dinon rahti hai mujh ko be-qarari beshtar

qasd kar ke to mukarrar aur muqarrar ham se mil

ser rakhti hain miri be-tabien us vaqt zor

harf hamara gar nahin hai tujh ko bavar ham se mil

ho gaya teri hava-khvahi men ‘hasrat’ tu ba-bad

baitha kya hai khaak men ham ko mila kar ham se mil

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mera Wajud Usi Ki Visal-Gah Mein Tha

Ye Zara Sa Kuchh Aur Ek-Dam Be-Hisab Sa Kuchh

poet

Kabhi Shadman Kabhi Pur-Alam Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

Maujud the Wo Mere Hi Andar Khule Hue

Ek tariKH Muqarrar Pe to Har Mah Mile

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet