
Govind Gulshan
rah-e-ulfat men maqamat purane aa.e
tum na aa.e to mujhe yaad fasane aa.e
vaqt-e-ruḳhsat na diya saath zaban ne lekin
ashk ban kar miri ankhon men tarane aa.e
raat ke vaqt har ik samt the naqli suraj
saa.e the asl jo kirdar nibhane aa.e
vaqt aata hi nahin lauT ke ye baat hai jhuuT
meri ankhon men ka.i guzre zamane aa.e
zindagi haar ga.i haar ka matam na kiya
aise lamhat to kitne hi na jaane aa.e
ghar mira jal gaya lekin ye tasalli hai mujhe
aag jo de ke ga.e aag bujhane aa.e

Leave a Reply