rafta rafta dil men ik uljhan na.i paate hain ham
ham ye samjhe the ki un ko bhulte jaate hain ham
is ko kya kiije ki ye bhi khel hai taqdir ka
DhunDhte hain jab unhen apna pata paate hain ham
chand aahon par hamari hai pareshani unhen
saikḌon sadme hain jo ḳhamosh pi jaate hain ham
aisi duniya se shikayat kya gila kya ranj kya
phuul barsati hai duniya aag barsate hain ham
be-talab husn-e-ata ki shaan hi kuchh aur hai
aap kahte hain to liije haath phailate hain ham
apni rudad-e-alam ki ab vo manzil aa ga.i
koi sunta ho na sunta ho kahe jaate hain ham
lijiye tark-e-ta.alluq ka tahayya kar liya
dekhna ye hai use kab tak nibha paate hain ham
ai vafur-e-zindagi talḳhaba-e-hasti na puchh
zehn ki ḳhush-fahmiyon se dil ko bahlate hain ham
ranjish-e-beja ne un ki kar diya aalam hi aur
zindagi ke naam ki goya saza paate hain ham
dost na-ḳhush aqraba naraz barham ghar ke log
sach ka daman thaam kar achchha sila paate hain ham
kuchh ajab fitrat hai ‘qadir’ dard-e-dil ki aj-kal
jab koi deta hai taskin aur ghabrate hain ham
Leave a Reply