dil men hamare ab koi arman nahin raha
vo ehtimam-e-gardish-e-dauran nahin raha
pesh-e-nazar vo ḳhusrav-e-ḳhuban nahin raha
meri hayat-e-shauq ka saman nahin raha
samjha raha huun yuun dil-e-muztar ko hijr men
vo kaun hai jo gham se pareshan nahin raha
dekha hai main ne gesu-e-kafir ka mojaza
tar-e-nafas bhi mera musalman nahin raha
ashkon ke saath saath kuchh arman nikal ga.e
bechainiyon ka dil men vo tufan nahin raha
ai charasaz sa.i-e-musalsal fuzul hai
tera mariz qabil-e-darman nahin raha
us ki hayat us ke liye maut ai ‘aziz’
jis par ki us nigah ka ehsan nahin raha
Leave a Reply