rabte bhi nahin fasla bhi nahin
duur huun tujh se lekin juda bhi nahin
maut hi se sahi za.iqe to mile
zindagi men to koi maza bhi nahin
kis ki ankhon men dekhen mohabbat ka aks
ab to aisa koi a.ina bhi nahin
laakh ghurbat shikaston ke saman kare
harne vaali meri ana bhi nahin
chand taare chamakte hain un ke liye
jin ke ghar raushni ko diya bhi nahin
umr rahte hue kar lo ishq-o-vafa
ye vo vajib hai jis ki qaza bhi nahin
meri ḳhamoshiyan us ki sargoshiyan
main ne sab kah diya aur kaha bhi nahin
un ka ‘meraj’ kaisa ajab tarz hai
be-vafa bhi nahin ba-vafa bhi nahin
Leave a Reply