qaside le ke saare shaukat-e-darbar tak aa.e
hamin do chaar the jo halqa-e-inkar tak aa.e
vo tapti dhuup se jab saya-e-divar tak aa.e
to jaati dhuup ke manzar lab-e-iz.har tak aa.e
vo jis ko dekhne ik bhiiḌ umDi thi sar-e-maqtal
usi ki diid ko ham bhi sutun-e-dar tak aa.e
tarab-zadon ki raten husn se abad rahti thiin
suḳhan-zade to bas zikr-e-lab-o-ruḳhsar tak aa.e
zamin ke haath par hai asman ye kya maqam aaya
ye kis imkan bhari duniya ke ham asar tak aa.e
ana ke gumbadon men jin ka fan gunja kiya barson
hunar un ke bhi bikne raunaq-e-bazar tak aa.e
Leave a Reply