qasid nahin ye vaqt saval-o-javab ka
ab haal ghair hai dil-e-ḳhana-ḳharab ka
tum dekhne ki chiiz ho dekha kare koi
ye husn ye jamal ye aalam shabab ka
tamhid-e-be-ḳhudi tha kahan tha havas-o-hosh
ḳhalvat men aa ke un ka ulaTna naqab ka
kya atish-e-firaq ne dil par asar kiya
in ansuon men mere maza hai kabab ka
ham ne to apni aankh se dekha nahin unhen
qissa suna hai hazrat-e-‘shankar’ ke ḳhvab ka
Leave a Reply