
Anand Narayan Mulla
har jalve pe nigah kiye ja raha huun main
ankhon ko ḳhizr-e-rah kiye ja raha huun main
miTne na paa.e tazgi-e-lazzat-e-gunah
tauba bhi gaah gaah kiye ja raha huun main
kaisi ye zindagi hai ki phir bhi hai shauq-e-zist
gauhar-nafas ik aah kiye ja raha huun main
ashkon ki mash.alon ko farozan kiye hue
tai iltija ki raah kiye ja raha huun main
ḳhud jis ke samne siper-andaḳhta hai husn
aisi bhi ik nigah kiye ja raha huun main
shayad kabhi vo bhuul ke rakkhen idhar qadam
ankhon ko farsh-e-rah kiye ja raha huun main
baḌhti hi ja rahi hain tiri kam-nigahiyan
kya dil men tere raah kiye ja raha huun main
zulmat-e-dair-o-ka.aba men kuchh raushni si hai
shayad koi gunah kiye ja raha huun main
‘mulla’ har ek taaza musibat pe hans ke aur
kaj gosha-e-kulah kiye ja raha huun main

Leave a Reply