pur-kaif kahin ke bhi nazare na rahenge
duniya men agar ishq ke maare na rahenge
duniya-e-mohabbat men charaghan na milega
palkon pe agar ashk hamare na rahenge
tum chhoḌ ke mat jaao mujhe shahr-e-bala men
varna mire jiine ke sahare na rahenge
tai kar lo safar shab ka ki mauqa.a hai ghanimat
phir charḳh-e-barin pe ye sitare na rahenge
gham ziist ke afsane ka unvan hasin hai
ham honge kahan gham jo hamare na rahenge
be-ma.ani nazar a.enge a.ankhon ke sahife
maujud agar un men ishare na rahenge
phir kis pe yaqin kaisa bharam kaisi muravvat
a.aza bhi hamare jo hamare na rahenge
Leave a Reply