pukarte pukarte sada hi aur ho gai
qubul hote hote har dua hi aur ho gai
zara sa ruk ke do-ghadi chaman pe kya nigah ki
badal gae mizaj-e-gul hava hi aur ho gai
ye kis ke naam ki tapish se par par jal uthe
hatheliyan mahak gaiin hina hi aur ho gai
khizan ne apne naam ki rida jo gul pe daal di
chaman ka rang ud gaya saba hi aur ho gai
ghurur-e-aftab se zamin ka dil saham gaya
tamam barishen thamin ghata hi aur ho gai
khamoshiyon ne zer-e-lab ye kya kaha ye kya suna
ki kaenat-e-ishq ki ada hi aur ho gai
jo vaqt mehrban hua to khaar phuul ban gae
khizan ki zard zard si qaba hi aur ho gai
varaq varaq ‘alina’ ham ne zindagi se yuun ranga
ki katib-e-nasib ki raza hi aur ho gai