poshak-e-siyah men rukh-e-janan nazar aaya
shab ko hamen khurshid darakhshan nazar aaya
dekha na kahin kufr na iman nazar aaya
hindu koi paaya na musalman nazar aaya
malbus-e-siyah men rukh-e-janan nazar aaya
zulmat men yaan chashma-e-haivan nazar aaya
balon men chhupa chehra-e-janan nazar aaya
parda men yahan kufr ke iman nazar aaya
phir josh-e-junun silsila-e-jumba nazar aaya
phir be-sar-o-samani ka saman nazar aaya
pariyan jise kandhe pe uthati thiin hamesha
barbad vo aurang-e-sulaiman nazar aaya
bain-hama vusat bhi hai kya khvan-e-falak-tang
asuda na us ka koi mehman nazar aaya
ankhon ke tale phir gaya vo ahu-e-shahri
jangal men jo ahu-e-bayaban nazar aaya
majmaa men raqibon ke khula tha tira joda
kal raat ajab khvab-e-pareshan nazar aaya
jis dasht men phute hain mire abla-pa
koson vahi sarsabz-e-nistan nazar aaya
ta-sal-e-digar mai ki khurd zinda ki maand
mah-e-ramzan saqi-e-dauran nazar aaya
divana huun par kaam men hoshiyar huun apne
yusuf ka khayal aaya jo zindan nazar aaya
shokh-e-mizha-e-bargashta ki dekhi nigah-e-qahr
aahu bhi mujhe sher-e-niystan nazar aaya
mayus phiri aati hain kyuun meri duaen
kya bab-e-ijabat pe bhi darban nazar aaya
main zar-e-mah-e-nau huun ki us ne mujhe ai ‘mehr’
jab ghaur se dekha to kaha haan nazar aaya
Leave a Reply