
Farhat Abbas Shah
phuul ki sukh ki saba ki zindagi
muḳhtasar hai kyuun vafa ki zindagi
kis ne dekha hai ḳhuda ki maut ko
kis ne dekhi hai ḳhuda ki zindagi
haath paanv marna be-kar hai
ji rahe hain ham ḳhala ki zindagi
barha bhi maut se hai samna
aazma li barha ki zindagi
dard sahne ka alag andaz hai
ji rahe hain ham ada ki zindagi
chahe jangal hon ya sahra ya nagar
asl men tu hai hava ki zindagi

Leave a Reply