• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Phul Khushbu Un Pe Udti Titliyon Ki Khair Ho

Phul Khushbu Un Pe Udti Titliyon Ki Khair Ho

ahmad-sajjad-babar

phuul khushbu un pe udti titliyon ki khair ho

sab ke angan men chahakti betiyon ki khair ho

jitne mithe lahje hain sab giit honge ek din

mithe lahjon se mahakti boliyon ki khair ho

chunriyon men khvab le kar chal padi hain betiyan

in parae des jaati doliyon ki khair ho

barishon ke shor men kyuun jagte hain dard bhi

sehn-e-jan men raqs karti badliyon ki khair ho

rakht-e-dil ko thaam kar vo aa gai hain ret par

khvahishon ki khair ho un pagliyon ki khair ho

ab kabutar fakhtaen ja chuki hain gaanv se

ai khudavand ped ki aur bastiyon ki khair ho

raat hai ‘babar’ khadi sailab ka bhi zor hai

sahilon ki manjhiyon ki kashtiyon ki khair ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Shikwa Nahin Hai Is Ka Ki Tumne Bhula Diya

Tere Ye Jaan-Nisar-O-Talab-Gar Dekh Kar

poet

Chala Hai O Dil-E-Rahat-Talab Kya Shadman Ho Kar

poet

Ruh-E-Zaman Makan Mile Raaz-E-Ayan Nihan Mile

nazeer-akbarabadi

dekh Kar Kurte Gale Mein Sabz dhani Aap Ki

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet