phuul ka shaḳh pe aana bhi bura lagta hai
tu nahin hai to zamana bhi bura lagta hai
uub jaata huun ḳhamoshi se bhi kuchh der ke baad
der tak shor machana bhi bura lagta hai
itna khoya hua rahta huun ḳhayalon men tire
paas mere tira aana bhi bura lagta hai
za.iqa jism ka ankhon men simaT aaya hai
ab tujhe haath lagana bhi bura lagta hai
main ne rote hue dekha hai ali baaba ko
baaz auqat ḳhazana bhi bura lagta hai
ab bichhaḌ ja ki bahut der se ham saath men hain
peT bhar jaa.e to khana bhi bura lagta hai
Leave a Reply