• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Phir Wahi Qatl-E-Mohabbat-Zadagan Hai Ki Jo Tha

Phir Wahi Qatl-E-Mohabbat-Zadagan Hai Ki Jo Tha

phir vahi qatl-e-mohabbat-zadagan hai ki jo tha

rasan-o-dar ka aalam men saman hai ki jo tha

un ke hathon men vahi tegh-e-sitam hai ki jo thi

dahr matam-kada-e-be-gunahan hai ki jo tha

chashm-e-pur-ḳhun-e-vafa lala-nishan hai ki jo thi

qismat-e-bul-havasan aish-e-jahan hai ki jo tha

hairat-e-ahl-e-nazar ahl-e-hunar hai ki jo thi

shohra-e-kam-nazran be-hunran hai ki jo tha

rasm-e-ara.ish-e-aivan-e-tarab hai ki jo thi

sar-e-farhad ye vo koh-e-giran hai ki jo tha

ye shajar hain ki saliben si gaḌi hain har su

manzil-e-ishq vahi sang-e-nishan hai ki jo tha

daftar-e-lala-o-gul hai na vo divan-e-bahar

zinat-e-lauh-e-chaman harf-e-ḳhizan hai ki jo tha

zer-e-har-shaḳh shab-o-roz qafas Dhalte hain

alam-e-nauha-garan basta-paran hai ki jo tha

daulat-e-ahl-e-talab ḳhar-e-sitam hain ki jo the

chaar su ghalghala-e-gul-badanan hai ki jo tha

saya-e-murgh-e-parida hai ki ye abr-e-bahar

gila-e-marhamat-e-ah-e-tapan hai ki jo tha

hai vahi aaj bhi rang-o-ravish-e-rud-e-farat

har nafas matami-e-tishna-laban hai ki jo tha

aaj bhi arz-e-vafa un pe giran hai ki jo thi

aaj bhi hausla-e-sharh-o-bayan hai ki jo tha

na vafaon pe nazar hai na jafaon ka malal

dil men vo dard vo ehsas kahan hai ki jo tha

saulat-o-satvat-e-arbab-e-hamam miT ke rahi

luT ke bhi husn-e-butan husn-e-butan hai ki jo tha

hai tiri yaad nashat-e-shab-e-hijran ki jo thi

haan tira dard qarar-e-dil-o-jan hai ki jo tha

jalva-e-yar se mahrum hai gham-ḳhana-e-dil

ye vahi tira-o-tarik makan hai ki jo tha

vaqt ke saath badalta nahin jafar-‘tahir’

ye vahi soḳhta-dil soḳhta-jan hai ki jo tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Umr-Bhar Ishq Kisi Taur Na Kam Ho Aamin

poet

Tanduruston Mein Na Bimaron Ke Bich

khwaja-meer-dard

Qatl-E-Ashiq Kisi Mashuq Se Kuchh dur Na Tha

poet

Wadi Wadi Gane Wala Aaega

Sufi

Mujhko Prem Kahani Kar do

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet