payam gham ka vahi gham-gusar dete hain
tasalliyan jo na.i bar-bar dete hain
kahan ka hosh unhen ye tiri hai rusva.i
sada.en tujh ko jo divana-var dete hain
vo aate aate ye kahte hain jald jaana hai
vo jaate jaate naya intizar dete hain
bacha sakenge safinon ko ḳhaak tufan se
vo naḳhuda ki jo himmat hi haar dete hain
main jab bhi zikr karun dil ki be-qarari ka
vo mujh ko sabr ka dushman qarar dete hain
Leave a Reply