• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Paya Tere Kushton Ne Jo Maidan-E-Bayaban

Paya Tere Kushton Ne Jo Maidan-E-Bayaban

poet

paaya tire kushton ne jo maidan-e-bayaban

shan-e-chaman-e-khuld hui shan-e-bayaban

divana tira mar ke hua zinda-e-javed

ruuh us ki jo nikli to hui jan-e-bayaban

mujh sa bhi jahan men koi saudai na hoga

samjha lahad-e-qais ko aivan-e-bayaban

virana-nashini hai azal se miri jagir

qismat ne diya hai mujhe farman-e-bayaban

vahshat pe miri ahuon ke bahte hain aansu

hairat pe miri rote hain haivan-e-bayaban

hai alam-e-hu turbat-e-majnun ka mujavar

sannate ka aalam hai nigahban-e-bayaban

jis roz mire hosh ke ham-rah udenge

dam tod ke mar jaenge murghan-e-bayaban

ik din hi ye mauquf hua khaak ka udna

kya kya na kiya qais ne saman-e-bayaban

parva na thi basti ki na thi yaad vatan ki

allah re mad-hoshi-o-nisyan-e-bayaban

rahte hain mire gird pari-zad hazaron

huun alam-e-vahshat men sulaiman-e-bayaban

laila pe jo aalam hai to majnun bhi hai khush-ru

vo hur-e-bayaban hai vo ghilman-e-bayaban

is tabqe ki manzur jo ki tum ne tabahi

barbadi hui dast-o-gareban-e-bayaban

afsos hai is najd ko majnun ne basaya

laila jise kahti hai bayaban-e-bayaban

dil khol ke ji chahta hai khaak udaun

phirne ko mila hai mujhe maidan-e-bayaban

jis din se bani hai tire divane ki turbat

hote hain pari-zad bhi qurban-e-bayaban

sheron ke hila daale hain dil us ke junun ne

majnun hai ki hai rustam-e-dastan-e-bayaban

jis vaqt ‘sharaf’ laila o majnun ne qaza ki

ik ghul hua rukhsat hue mehman-e-bayaban

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sheikh Saadi

Story 16 – The Manners Of Kings – Gulistaan-e-Sa.Adii

ahmad-hamdani

Chand Ojhal Ho Gaya Har Ek Sitara Bujh Gaya

Wo Aankh Mere Liye Nam Hai Kya Kiya Jae

Sufi

Lokan dhan Shah Ek Wajud Hain

poet

Jawan Tha Dil Na Tha Andesha-E-Sud-O-Ziyan Pahle

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet