pas-e-marg-e-tamanna kaun dekhe
mire naqsh-e-kaf-e-pa kaun dekhe
koi dekhe miri ankhon men aa kar
magar dariya men sahra kaun dekhe
ab is dasht-e-talab men kaun aa.e
sarabon ka tamasha kaun dekhe
agarche daman-e-dil hai darida
darun-e-naḳhl-e-taza kaun dekhe
bahut marbut rahta huun main sab se
miri be-rabt duniya kaun dekhe
shumar-e-ashk-e-sham-e-bazm mumkin
hamara dil pighalta kaun dekhe
main kya dekhun ki tum aa.e ho milne
khuli ankhon se sapna kaun dekhe
main jaisa huun main vaisa to nahin huun
magar jaisa huun vaisa kaun dekhe
Leave a Reply