pareshani hai ji ghabra raha hai
koi dhime suron men ga raha hai
kahun kya hal-e-nakam-e-mohabbat
tamannaon se ji bahla raha hai
koi shab ki khamoshi men hai giryan
tasavvur men koi samjha raha hai
tasavvur ki ye maqsad-afrini
main samjha koi sach-much aa raha hai
jo rasta khuld men nikla hai ja kar
vo dozakh se nikal kar ja raha hai
Leave a Reply