parda-e-ruḳh kya uTha har-su ujale ho ga.e
sab andhere daman-e-shab ke havale ho ga.e
main ne jab chaha ki hon sairab dil ki hasraten
saare lamhe zindagi ke ḳhushk pyale ho ga.e
bughz-o-nafrat ke dhuven se ghuT rahe the sab ke dam
jal ga.iin jab pyaar ki sham.en ujale ho ga.e
hasraton ko manzilen mil jaa.en mumkin hi nahin
ḳhvahishon ke raste ab aur kaale ho ga.e
ab kahin aisa na ho nasur ban jaa.en ye sab
dil pe jitne bhi nishan the vo to chhale ho ga.e
mujh ko maidan-e-musibat men akela dekh kar
mujh se aage meri himmat ke risale ho ga.e
saanp ki manind ye bhi ek din Das ja.ega
chashm-e-hasrat men bahut din ḳhvab paale ho ga.e
ek koshish aur kar ke dekhte ‘sharib’-miyan
ab bahut din aap ko kichaḌ uchhale ho ga.e
Leave a Reply