paanv be-dhyani men aisa paḌ gaya
sab ke kirdaron talak kichaḌ gaya
kya hua jo ok bhar li jhiil se
kya hua jo ek patta jhaḌ gaya
dil men aap aa.e to nikle kitne log
chiyunTiyon ke bil men paani paḌ gaya
kis ne chumi hai miri muflis jabin
kaun itne mahnge moti jaḌ gaya
vo agar ziddi hai to hoti rahe
main bhi ‘paras’ uḌ gaya to uḌ gaya
Leave a Reply