paiham ik iztirab ajab ḳhushk-o-tar men tha
main ghar men aa ruka tha mira ghar safar men tha
kya raushni thi jis ko ye ankhen taras gaiin
kya aag thi ki jis ka dhuan mere sar men tha
bas ek dhund ḳhvabon ki fikr-o-ḳhayal men
bas ek lams dard ka sham-o-sahar men tha
har ahd ko sameTe hue chal raha tha main
nadida sa.aton ka ujala nazar men tha
har lamha tha talash ki sadiyan liye hue
meri baqa ka raaz hi ilm-o-ḳhabar men tha
Leave a Reply