pahle sharma ke maar daala
phir samne aa ke maar daala
saaqi na pilai tu ne akhir
tarsa tarsa ke maar daala
iisa the to marne hi na dete
tum ne to jila ke maar daala
bimar-e-alam ko tu ne naseh
samjha samjha ke maar daala
khanjar kaisa faqat ada se
tadpa tadpa ke maar daala
yad-e-gesu ne hijr ki shab
uljha uljha ke maar daala
furqat men tire gham-o-alam ne
tanha mujhe pa ke maar daala
khanjar na mila to us ne ‘bedam’
ankhen dikhla ke maar daala
Leave a Reply