paband har jafa pe tumhari vafa ke hain
rahm ai buto ki ham bhi to bande khuda ke hain
gulchin bahar-e-gul men na kar mana sair-e-bagh
kya ham ghubar daman-e-bad-e-saba ke hain
ye sada-ru jo saaf nahin rahte sham-e-vasl
ashiq ghubar daman-e-sub.h-e-khafa ke hain
jis ko yaqin baqa ka ho vaaiz tiri sune
ham log mast bada-e-jam-e-fana ke hain
ai ‘mehr’ tab-e-barq ne betab dil kiya
mazmun chamak-damak ke qavafi bala ke hain
Leave a Reply