nigah-e-naz ne parde uthae hain kya kya
hijab ahl-e-mohabbat ko aae hain kya kya
jahan men thi bas ik afvah tere jalvon ki
charagh-e-dair-o-haram jhilmilae hain kya kya
do-char barq-e-tajalli se rahne valon ne
fareb narm-nigahi ke khaae hain kya kya
dilon pe karte hue aaj aati jaati chot
tiri nigah ne pahlu bachae hain kya kya
nisar nargis-e-mai-gun ki aaj paimane
labon tak aae hue thartharae hain kya kya
vo ik zara si jhalak barq-e-kam-nigahi ki
jigar ke zakhm-e-nihan muskurae hain kya kya
charagh-e-tur jale aina-dar-aina
hijab barq-e-ada ne uthae hain kya kya
ba-qadr-e-zauq-e-nazar did-e-husn kya ho magar
nigah-e-shauq men jalve samae hain kya kya
kahin charagh kahin gul kahin dil-e-barbad
khiram-e-naz ne fitne uthae hain kya kya
taghaful aur badha us ghazal-e-raana ka
fusun-e-gham ne bhi jaadu jagae hain kya kya
hazar fitna-e-bedar khvab-e-rangin men
chaman men ghuncha-e-gul-rang laae hain kya kya
tire khulus-e-nihan ka to aah kya kahna
suluk uchatte bhi dil men samae hain kya kya
nazar bacha ke tire ishva-ha-e-pinhan ne
dilon men dard-e-mohabbat uthae hain kya kya
payam-e-husn payam-e-junun payam-e-fana
tiri nigah ne fasane sunae hain kya kya
tamam husn ke jalve tamam mahrumi
bharam nigah ne apne ganvae hain kya kya
‘firaq’ rah-e-vafa men subuk-ravi teri
bade-badon ke qadam dagmagae hain kya kya
Leave a Reply